dil mein mere har ghaDi dariya-e-gham labrez hai
baat jo munh se nikalti hai wo dard-amez hai
zabt karta hun to baDhta hai mera soz-e-darun
ashk se bhi apne Darta hun ki tufan-KHez hai
pahle in aankhon se sail-e-ashk hota tha rawan
ab wufur-e-gham se meri chashm-e-tar KHun-rez hai
aarzu tak ho gai dil ke liye bar-e-garan
na-tawani ke sabab arman bhi hasrat-KHez hai
hai abas saman-e-farhat gham-zada dil ke liye
mere lab ko KHud tabassum se baDa parhez hai
din gae tafrih ke jab se hua dil gham-kada
kya gharaz hum ko agar duniya tarab-angez hai
is zamin par kar raha hai tai masafat har-nafas
wo mubarak hai qadam jis ka safar mein tez hai
qalb-e-'hafiz' ta-dam-e-aKHir na paega sukun
jumla-saman-e-tarab-angez wahshat-KHez hai

Ghazal
Dil mein mere har ghaDi dariya-e-gham labrez hai
Mohammad Wilayatullah