dil mein kya us ko mila jaan se hum dekhte hain
balki jaan hai wahi jab dhyan se hum dekhte hain
chupke baiThe hue hairan se hum dekhte hain
tum to dekho tumhein kis shan se hum dekhte hain
dil nikal jata hai be-saKHta us dam apna
dar mein jis dam tujhe dalan se hum dekhte hain
kahte hain ek tumhin to nahin hum par marte
saikDon jate hue jaan se hum dekhte hain
wan se mayus chale to hain na puchho phir kuchh
pichhe phir phir ke kis arman se hum dekhte hain
kya gila aap ka jo hum ko dikhae qismat
aaj kuchh aur hi saman se hum dekhte hain
kuchh ruka sa jo unhen dekhte hain mahfil mein
munh ko ek ek ke hairan se hum dekhte hain
allah allah re ai but teri afzaish-e-husn
tujh ko har lahza nai aan se hum dekhte hain
hae qismat ki adu kahne ko apna matlab
munh lagate hain tere kan se, hum dekhte hain
kabhi jaane ka irada jo wo karte hain 'nizam'
hae us waqt kis arman se hum dekhte hain
Ghazal
Dil mein kya usko mila jaan se hum dekhte hain
Nizam Rampuri