dil mein kya kya hawas-e-did baDhai na gai
ru-ba-ru un ke magar aankh uThai na gai
hum raza-shewa hain tawil-e-sitam KHud kar len
kya hua un se agar baat banai na gai
ye bhi aadab-e-mohabbat ne gawara na kiya
un ki taswir bhi aankhon se lagai na gai
aah wo aankh jo har samt rahi saiqa-pash
wo jo mujh se kisi unwan milai na gai
hum se puchha na gaya nam-o-nishan bhi un ka
justuju ki koi tamhid uThai na gai
dil ko tha hausla-e-arz-e-tamanna so unhen
sarguzisht-e-shab-e-hijran bhi sunai na gai
gham-e-duri ne kashakash to bahut ki lekin
yaad un ki dil-e-'hasrat' se bhulai na gai
Ghazal
Dil mein kya kya hawas-e-did baDhai na gai
Hasrat Mohani