dil mein kuchh soz-e-tamanna ke nishan milte hain
is andhere mein ujale ke saman milte hain
aaj bhi rang-e-bayaban ke tapish-zaron mein
laDkhaDate hue qadmon ke nishan milte hain
han isi manzil-e-sa-kaif-o-tarab ki jaanib
qafile aaj bhi aashiq ke rawan milte hain
ai gire ham-safro is ko to manzil na kaho
aandhiyan uThti hain tufan yahan milte hain
un ke har wada-e-altaf ki rangini mein
kitne na-dida sitam-ha-e-giran milte hain
us ki mahfil mein wo bahke hue simin naghmen
ab to kuchh din se ba-andaz-e-fughan milte hain
yun gawara hai ye KHun-bar ufuq ka manzar
is ke partaw mein hamein taza jahan milte hain
Ghazal
Dil mein kuchh soz-e-tamanna ke nishan milte hain
Moin Ahsan Jazbi