dil mein kuchh hai bayan mein kuchh hai
aap ki dastan mein kuchh hai
mere wahm-o-guman se baDh kar
un ke tir-o-kaman mein kuchh hai
panw rakhiye sambhal ke basti mein
ghar mein kuchh saeban mein kuchh hai
pairw-e-mazhab-e-mohabbat hun
dekhta kuchh hun dhyan mein kuchh hai
jab dilon mein rahe na gunjaish
man na samjhe makan mein kuchh hai
ruKH hawa ka na dekhiye 'anjum'
dekhiye baadban mein kuchh hai

Ghazal
Dil mein kuchh hai bayan mein kuchh hai
Mushtaq Anjum