اردو हिंदी
Dil mein kuchh dard siwa hai yaro | Shaahi Shayari
dil mein kuchh dard siwa hai yaro

Ghazal

Dil mein kuchh dard siwa hai yaro

Ayub Rumani

;

dil mein kuchh dard siwa hai yaro
aaj rona bhi rawa hai yaro

sans leta hun to dam ghuTta hai
kaisi be-dard hawa hai yaro

main jo hansta hun to ro dete hain
tum ko kya aaj hua hai yaro

kis ne ehsas ki daulat pai
kaun diwana hua hai yaro

itni viran na thin ye aankhen
zabt karne ka sila hai yaro

apne daman mein koi phul nahin
dil mein kanTa sa chubha hai yaro

KHud pukara use KHud dauD paDe
KHub gumbad ki sada hai yaro