dil mein kisi KHalish ka guzar chahta hun main
jaisi bhi ho bas ek nazar chahta hun main
KHam ho ke phir na uTThe wo sar chahta hun main
uTh kar jo KHam na ho wo nazar chahta hun main
hote hi tazkira koi aa jae ru-ba-ru
itna buland zauq-e-nazar chahta hun main
mera sukun shauq hai sab kuchh mere liye
nalon ko be-niyaz asar chahta hun main
kya puchhte ho maqsad-e-izhaar-e-arzu
sharh-e-wafa pe naqd-o-nazar chahta hun main
paiham gham-e-firaq se ghabra gaya hai dil
kuchh imtiyaz-e-sham-o-sahar chahta hun main
ji chahta hai aag laga dun naqab mein
jalwon se intiqam-e-nazar chahta hun main
muhtaj-e-rahbar hun jahan KHizr tak 'shakil'
aisi bhi koi rahguzar chahta hun main
Ghazal
Dil mein kisi KHalish ka guzar chahta hun main
Shakeel Badayuni