dil mein KHun aur aankh mein pani bahut
ek thoDi si pareshani bahut
chup rahen to dil sarapa iztirab
baat karne mein pashemani bahut
dekhe-bhaale raste gham ke tamam
dil ki galiyan jaani-pahchani bahut
us ke jaise honge lekin wo kahan
naqsh-e-awwal ek aur sani bahut
hum kahan hote the KHud ko dastiyab
khal rahi hai ab ye arzani bahut
kis tarah rakhte hum aaKHir jaan aziz
dil kiya karta tha man-mani bahut
us se kya be-qadr-dani ka gila
hum ne qadr apni kahan jaani bahut
KHud use 'shabnam' banate hain muhaal
dekhte hain jis mein aasani bahut
Ghazal
Dil mein KHun aur aankh mein pani bahut
Shabnam Shakeel