اردو हिंदी
Dil mein KHushbu si utar jati hai sine mein nur sa Dhal jata hai | Shaahi Shayari
dil mein KHushbu si utar jati hai sine mein nur sa Dhal jata hai

Ghazal

Dil mein KHushbu si utar jati hai sine mein nur sa Dhal jata hai

Rajinder Manchanda Bani

;

dil mein KHushbu si utar jati hai sine mein nur sa Dhal jata hai
KHwab ek dekh raha hota hun phir ye manzar bhi badal jata hai

chahta hun ki main uTh kar dekhun chhat se aakash ka manzar dekhun
abhi chhat tak hi pahunchti hai aankh panw zine se phisal jata hai

KHwab ki gum-shuda tabir hun main ek ajab zabt ki taswir hun main
phir bhi in barf si aankhon mein kabhi koi gham hai ki pighal jata hai

ek dhuan jo na bikharne de mujhe KHak mein bhi na utarne de mujhe
jab siyahi ki taraf baDhta hun ek diya sa kahin jal jata hai

rah chalta hun iradon ke sath shauq ke sath muradon ke sath
panw hote hain qarib-e-manzil waqt hathon se nikal jata hai