dil mein jo baat khaTakti hai dahan tak pahunche
KHamushi marhala-e-arz-e-suKHan tak pahunche
mahram-e-husn-e-bahaaran to nahin ho sakti
wo nazar sirf jo gul-ha-e-chaman tak pahunche
zindagi nam isi mauj-e-mai-e-nab ka hai
mai-kade se jo uThe dar-o-rasan tak pahunche
gulsitanon ka ijara nahin fasl-e-gul par
fasl-e-gul wo hai jo har dasht-o-daman tak pahunche
ahd hum ne bhi kiya tha na milenge us se
bar-ha hum bhi usi ahd-shikan tak pahunche
baat karta hai ba-zahir baDi sada si 'kamal'
jo suKHan-war hain wahi us ke suKHan tak pahunche
Ghazal
Dil mein jo baat khaTakti hai dahan tak pahunche
Kamal Ahmad Siddiqi