dil mein jinhen utarte dil se wahi utar gae
jism ko chumte rahe ruh pe war kar gae
phir sar-e-shaKH-e-arzu khil ke mahak uThi kali
dard ki fasl ho chuki dagh ke din guzar gae
sare malamaton ke tir jin ka hadaf bane the hum
apne liye wo tir bhi kaam dua ka kar gae
aaj to teri yaad bhi marham-e-dil na ho saki
zaKHm zarur dab gae dagh magar ubhar gae
dasht-e-tawahhumat mein apni sada hai aur hum
husn-e-yaqin ke qafile kis se kahen kidhar gae
waqt ke qafile mein jab koi na ham-safar mila
ban ke ghubar-e-rahguzar dasht mein hum bikhar gae
Ghazal
Dil mein jinhen utarte dil se wahi utar gae
Moghisuddin Fareedi