dil mein jhanka to bahut zaKHm purane nikle
ek fasane se kai aur fasane nikle
KHwab to KHwab the aaankhon mein kahan ruk jate
wo dabe panw unhen bhi to churane nikle
dekhna ye hai Thaharta hai kahan josh-e-junun
sar-phire shahr-e-nigaran ko jalane nikle
apne ghar sang-e-malamat ki hui hai barish
be-gunahi ki sanad hum jo dikhane nikle
karobar-e-rasan-o-dar ki tashhir hui
sarfaroshi ke yahan kitne bahane nikle
jin kitabon pe saliqe se jami waqt ki gard
un kitabon hi mein yaadon ke KHazane nikle
wo sitam-kesh bahr-e-haal sitam-kesh rahe
dard soya bhi nahin tha ki jagane nikle
har taraf shahr mein virani ka aalam hai 'raza'
zindagi kaun kahan tujh ko sajaane nikle

Ghazal
Dil mein jhanka to bahut zaKHm purane nikle
Raza Amrohvi