dil mein is ka KHayal kyun aaya
mausam-e-barshgal kyun aaya
wo jo hansta tha us ke chehre par
aaj rang-e-malal kyun aaya
nam se mere jis ko nafrat thi
puchhne mera haal kyun aaya
naz tha kis liye bahaaron par
ye bata de zawal kyun aaya
jis ko shikwa tha bad-KHisalon se
phir wahi KHush-KHisal kyun aaya
san rahe hain ki phir nawazish hai
mausam-e-qil-o-qal kyun aaya
phir 'wasiyya' se dosti ka KHayal
ye bata den KHayal kyun aaya
Ghazal
Dil mein is ka KHayal kyun aaya
Fatima wasia Jayasi