dil mein ho gar KHwahish-e-taswir-e-ibrat dekhna
KHush-nasibi banTne walon ki qismat dekhna
doston aur dushmanon ke darmiyan rah kar to dekh
tujh ko aa jaega farq-e-nur-o-zulmat dekhna
kya qayamat se Daren hum log to wo hain jinhen
paD raha hai roz hi roz-e-qayamat dekhna
muflisi ke din hain aur barsat ki aamad ka shor
mashghala sa ban gaya TuTi hui chhat dekhna
aise mauqon par jab aaen zindagi mein mushkilen
jin ki jaanib dekhna ho bhul kar mat dekhna
ai 'saadat' jo nasihat karte ho auron ko tum
is nasihat ko kabhi apni bhi babat dekhna
Ghazal
Dil mein ho gar KHwahish-e-taswir-e-ibrat dekhna
Saadat Bandvi