dil mein har-waqt yas rahti hai
ab tabiat udas rahti hai
un se milne ki go nahin surat
un se milne ki aas rahti hai
maut se kuchh nahin KHatar mujh ko
wo to har-waqt pas rahti hai
aab-e-haiwan jise bujha na sake
zindagi ko wo pyas rahti hai
dil to jalwon se bad-hawas hi tha
aankh bhi bad-hawas rahti hai
un ki surat ajab hai shoabada-baz
dur rah kar bhi pas rahti hai
dil kahan 'arsh' ab to pahlu mein
ek taswir-e-yas rahti hai
Ghazal
Dil mein har-waqt yas rahti hai
Arsh Malsiyani