dil mein hai talab aur dua aur tarah ki
hai KHak-nashini ki saza aur tarah ki
jab rakh se uTThega kabhi ishq ka shoala
phir paegi ye KHak shifa aur tarah ki
jate hue mausam ki to pahchan yahi hai
dastak mein mujhe dega sada aur tarah ki
hai hijr ka pairaya-e-fan aur tarah ka
aur wasl-kahani hai zara aur tarah ki
shab bhi hai wahi hum bhi wahi tum bhi wahi ho
hai ab ke magar apni saza aur tarah ki
Ghazal
Dil mein hai talab aur dua aur tarah ki
Bushra Ejaz