dil mein hai kya jaaniye kis ka KHayal-e-naqsh-e-pa
lag gain aankhen zamin se jo misal-e-naqsh-e-pa
taqat uThne ki nahin hai tan mein zoaf-e-ishq se
haal apna in dinon hai hasb-e-haal-e-naqsh-e-pa
safha-e-sahra mein hai KHar-e-mughilan jun alif
KHub ai majnun teri aai hai fal-e-naqsh-e-pa
yak-qalam ai gul-badan rashk-e-gul-e-qalin hai dekh
farsh-e-KHakistar hai tera ye nihaal-e-naqsh-e-pa
dur-fishani se teri rahta hai ham-chashm-e-sadaf
tha yahi ai chashm-e-tar tujh se sawal-e-naqsh-e-pa
TikTiki yan tak bandhi haigi ki KHal-e-mardumak
ban gaya is shoKH ka har wajh KHal-e-naqsh-e-pa
sujhta hai hath se is na-tawani ke 'nasir'
rafta rafta honge ek din paemal-e-naqsh-e-pa
Ghazal
Dil mein hai kya jaaniye kis ka KHayal-e-naqsh-e-pa
Shah Naseer