اردو हिंदी
Dil mein hai kya azab kahe to pata chale | Shaahi Shayari
dil mein hai kya azab kahe to pata chale

Ghazal

Dil mein hai kya azab kahe to pata chale

Aatish Indori

;

dil mein hai kya azab kahe to pata chale
diwar KHamoshi ki Dhahe to pata chale

sab kuchh hi banTne ko chali aati kyun nadi
us ki tarah se koi bahe to pata chale

beTe tu jaanta nahin hai man ki ahmiyat
man ki tarah tu dard sahe to pata chale

kaise batae koi jiyo kaise zindagi
tu panchhiyon ke sath rahe to pata chale

pine ko pani bhi na ho roTi ki baat kya
neta-ji bhuk tu yun sahe to pata chale