dil mein aur to kya rakkha hai
tera dard chhupa rakkha hai
itne dukhon ki tez hawa mein
dil ka dip jala rakkha hai
dhup se chehron ne duniya mein
kya andher macha rakkha hai
is nagri ke kuchh logon ne
dukh ka nam dawa rakkha hai
wada-e-yar ki baat na chheDo
ye dhoka bhi kha rakkha hai
bhul bhi jao biti baaten
in baaton mein kya rakkha hai
chup chup kyun rahte ho 'nasir'
ye kya rog laga rakkha hai
Ghazal
Dil mein aur to kya rakkha hai
Nasir Kazmi