اردو हिंदी
Dil mein agar na ishq-o-mohabbat ki chah ho | Shaahi Shayari
dil mein agar na ishq-o-mohabbat ki chah ho

Ghazal

Dil mein agar na ishq-o-mohabbat ki chah ho

Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

;

dil mein agar na ishq-o-mohabbat ki chah ho
nala na dard ho na fughan ho na aah ho

ruswa na eatibar-e-taghaful ko kijiye
kya faeda ki pursish-e-dil gah gah ho

dushman se puchhta hun nishan-e-harim-e-naz
meri tarah se koi na gum-karda-rah ho

rah-e-junun mein mujh ko kisi se nahin hai kaam
bas main hun aur ek dil-e-shorish-panah ho

kar ab tu fikr husn-e-amal kuch hai qarib
rasta kaThin hai sath mein kuchh zad-e-rah ho

tauhin-e-shan afw hai isyan se ijtinab
yani gunahgar hai jo be-gunah ho

duniya mein aise logon se pala paDe na 'shauq'
zahir ho jin ka saf to baatin siyah ho