اردو हिंदी
Dil mein aate hi KHushi sath hi ek gham aaya | Shaahi Shayari
dil mein aate hi KHushi sath hi ek gham aaya

Ghazal

Dil mein aate hi KHushi sath hi ek gham aaya

Arshad Ali Khan Qalaq

;

dil mein aate hi KHushi sath hi ek gham aaya
id aai to main samjha ki moharram aaya

KHun-e-dil ho gaya shayad dam-e-girya jo aaj
ewaz-e-ashk lahu aankhon se paiham aaya

nazuki kahte hain us ko ki hazaron bal khate
ta-kamar yar ka jab gesu-e-pur-KHam aaya

dil mein hai jalwa-kunan chah-e-zanaKHdan ka KHayal
ain kabe mein nazar chashma-e-zamzam aaya

phir bahaar aaegi phir dagh-e-junun chamkenge
phir su-e-burj-e-hamal nayyar-e-azam aaya

pak-daman hai to aisa ki pae sidq-kalam
shan-e-ismat mein teri sura-e-mariyam aaya

di duhai teri rahmat ki gunahgaron ne
lab-e-waiz pe junhi nam-e-jahannam aaya

dasht-e-ghurbat mein ba-juz bekasi-o-yas-o-alam
qabr-e-majnun pe na koi pae matam aaya

sher-goi hai wo shai jin ka sila dene ko
KHwab-e-firdausi-e-KHush-fikr mein rustam aaya

phir gaya aankhon mein us kan ke moti ka KHayal
gosh-e-gul tak na koi qatra-e-shabnam aaya

jite-ji hi ke the sab yar pas-e-marg 'qalaq'
gor par koi na gham-KHwar na hamdam aaya