dil markaz-e-hijab banaya na jaega
un se bhi raaz-e-ishq chhupaya na jaega
sar ko kabhi qadam pe jhukaya na jaega
un ke nuqush-e-pa ko miTaya na jaega
be-wajh intizar dikhane se faeda
kah dijiye ki samne aaya na jaega
aankhon mein ashk qalb pareshan nazar udas
is tarah un ko chhoD ke jaya na jaega
wo KHud kahen to sharh-e-mohabbat bayan karun
naghma baghair saz sunaya na jaega
behtar yahi hai zikr-e-mohabbat na chheDiye
naqsha bigaD gaya to banaya na jaega
dil ki taraf 'shakil' tawajjoh zarur ho
ye ghar ujaD gaya to basaya na jaega
Ghazal
Dil markaz-e-hijab banaya na jaega
Shakeel Badayuni