dil mar chuka hai ab na masiha bana karo
ya hans paDo ya hath uTha kar dua karo
ab husn ke mizaj se waqif hua hun main
ek bhul thi jo tum se kaha tha wafa karo
dil bhi sanam-parast nazar bhi sanam-parast
kis ki ada saho to kise rahnuma karo
jis se hujum-e-ghair mein hoti hain chashmaken
us ajnabi nigah se bhi aashna karo
ek soz ek dhuan hai pas-e-parda-e-jamal
tum lakh sham-e-bazm-e-raqiban bana karo
qaem usi ki zat se hai rabt-e-zindagi
ai dost ehtiram-e-dil-e-mubtala karo
taqrib-e-ishq hai ye dam-e-wapsin nahin
tum jao apna farz-e-taghaful ada karo
wo bazm se nikal ke kahte hain ai 'zahir'
jao magar qarib-e-rag-e-jaan raha karo
Ghazal
Dil mar chuka hai ab na masiha bana karo
Zaheer Kashmiri