dil mahw-e-tamasha-e-lab-e-baam nahin hai
paigham ba-andaz-e-paigham nahin hai
ai jaan-e-giran sair tera rahbar-o-rahzan
hai kaun agar waqt-e-subuk-e-gam nahin hai
jo tere dayar-e-ruKH-o-kakul mein na guzre
wo subh nahin hai wo meri sham nahin hai
is pursish-e-haalat ke andaz ke qurban
kis tarah kahun main mujhe aaram nahin hai
kya baat hai ai talKHi-e-azar-e-mohabbat
fihrist-e-shahidan mein mera nam nahin hai
mai-KHane mein aur shorish-e-ayyam dar aae
afsos ki hathon mein mere jam nahin hai
aksar lab-e-shair se jo sunta hai zamana
wo zist ki aawaz hai ilham nahin hai
ai mast-e-mai-shauq sambhaal apne subu ko
duniya hai ye KHum-KHana-e-KHayyam nahin hai
ek turfa tamasha hai 'nazar' teri tabiat
shair bhi hai aur shahr mein badnam nahin hai
Ghazal
Dil mahw-e-tamasha-e-lab-e-baam nahin hai
Nazar Hyderabadi