dil mange hai mausam phir ummidon ka
chaar taraf sangit racha ho jharnon ka
hum ne bhi taklif uThai hai aaKHir
aap bura kyun manen sachchi baaton ka
jaane ab kyun dil ka panchhi hai gum-sum
jab peDon par shor macha hai chiDiyon ka
raat gae tak rah wo meri dekhega
mujh par hai ek KHauf sa tari rahon ka
mere mathe par kuchh lamhe utre the
ab bhi yaad hai zaiqa us ke honTon ka
pure chand ki raat magar KHamoshi hai
mausam to hai bhigi bhigi baaton ka

Ghazal
Dil mange hai mausam phir ummidon ka
Sameena Raja