dil le ke hasinon ne ye dastur nikala
dil jis ka liya us ko bahut dur nikala
zahid ko kisi aur ki baaten nahin aatin
aaya to wahi tazkira-e-hur nikala
dushman ko ayaadat ke liye yar ne bheja
achchha ye ilaj-e-dil-e-ranjur nikala
ai tir-e-sitam chal teri dawat hai mere ghar
zaKHm-e-dil-e-nashad ne ankur nikala
wo tazkira-e-ghair pe jhunjhla ke ye bole
phir aap ne 'muztar' wahi mazkur nikala
Ghazal
Dil le ke hasinon ne ye dastur nikala
Muztar Khairabadi