اردو हिंदी
Dil le gai wo zulf-e-rasa kaam kar gai | Shaahi Shayari
dil le gai wo zulf-e-rasa kaam kar gai

Ghazal

Dil le gai wo zulf-e-rasa kaam kar gai

Hatim Ali Mehr

;

dil le gai wo zulf-e-rasa kaam kar gai
kaba ko Dah gai ye bala kaam kar gai

aaya na yar maut mera kaam kar gai
nakaam hi raha main qaza kaam kar gai

zahid ne bhi namaz ko apni qaza kiya
wallah un buton ki ada kaam kar gai

us ki gali mein KHak hamari na le chale
apna kabhi na baad-e-saba kaam kar gai

zahid ki aankh mein to barahman ke dil mein hai
taswir-e-but bhi nam-e-KHuda kaam kar gai

bimar-e-ishq ko hui sehat visal se
ai jalinus ek ye dawa kaam kar gai

nale se apne aah-e-rasa raat baDh gai
neze se barchhi aur siwa kaam kar gai

wo ab to chheD chheD ke dete hain galiyan
shukr-e-KHuda ki apni dua kaam kar gai

shikwa nahin hai kuchh malak-ul-maut se mujhe
ek rashk-e-hur aa ke mera kaam kar gai

laila ko ho gaya teri fariyaad ka guman
ai qais zang ki bhi sada kaam kar gai

chhanwai KHak 'mehr'-e-falak-bargah ko
chhoTi si ek chiz baDa kaam kar gai