dil lazzat-e-nigah karam pa ke rah gaya
kitna hasin KHwab nazar aa ke rah gaya
lab tak shikayat-e-gham-e-dil la ke rah gaya
un ki nadamaton pe main sharma ke rah gaya
mere dil-e-tabah ka aalam na puchhiye
ek phul tha jo khilte hi murjha ke rah gaya
manzil se dur rahraw-e-manzil tha mutmain
manzil qarib aai to ghabra ke rah gaya
shoridgi-e-nala-e-gustaKH kya kahun
is qalb-e-naznin ko bhi taDpa ke rah gaya
be-gana-war jab wo guzarte chale gae
kuchh be-qarar dil mujhe samjha ke rah gaya
un ke huzur lab to mukarrar na khul sake
rudad-e-gham nigah se dohra ke rah gaya
yun KHatm dastan-e-mohabbat hui 'shakil'
jaise koi hasin ghazal ga ke rah gaya
Ghazal
Dil lazzat-e-nigah karam pa ke rah gaya
Shakeel Badayuni