dil laraz raha hai kyun is ke KHat ko pa kar bhi
harf hans hai hain kyun rang ruKH uDa kar bhi
tujh se dur rah kar bhi dil girafta rahte the
ek ajib uljhan hai tere pas aa kar bhi
chehre hain kahte hain aaine pasheman hain
hai ajib hairani bazm-e-dil saja kar bhi
lafz lafz phaila tha nuqta nuqta simTa hun
kis qadar pasheman hun dastan suna kar bhi
ai 'shamim' behtar hai dur hi raho sab se
sang-e-mil ki surat fasle miTa kar bhi
Ghazal
Dil laraz raha hai kyun is ke KHat ko pa kar bhi
Mukhtar Shameem