dil-lagi ghairon se be-ja hai meri jaan chhoD de
man kahna tere sadqe tere qurban chhoD de
aashiq-e-jaan-baz kyunkar ku-e-jaanan chhoD de
apna aa ghar kis tarah sher-e-niystan chhoD de
ye nahin kahta ki sayyaad ab mujhe aazad kar
do ghaDi ko bahr-e-gul-gasht-e-gulistan chhoD de
kaun kafir phir kare sajda KHuda ke samne
kah to baiThe mujh se wo but apna iman chhoD de
tang hun diq hun koi dam mein nikal jaega dam
chhoD de dast-e-junun mera gareban chhoD de
ghair-mumkin hai jo bhulun ghar tera ai rashk-e-hur
mujh ko jannat mein agar le ja ke rizwan chhoD de
ghamza-e-beja nahin uThte phunka jata hai dil
garmiyan apni tu ai mehr-e-daraKHshan chhoD de
phir phansun main dam-e-gesu mein to kafir jaaniyo
chhoD de lillah ab o na-musalman chhoD de
ho na raaz-e-ishq ifsha aabru-rezi na ho
phuT bahna tu agar ai chashm-e-giryan chhoD de
tauq phenkenge gale mein misl-e-qumri saikDon
nazuki raftar o sarw-e-KHiraman chhoD de
husn ka juya hun muddat se main diwana-mizaj
mujh ko pariyon ke akhaDe mein sulaiman chhoD de
yun bhulai dil se yaad-e-mushaf-e-ruKHsar 'rind'
hifz kar ke jis tarah se koi quran chhoD de
Ghazal
Dil-lagi ghairon se be-ja hai meri jaan chhoD de
Rind Lakhnavi