dil-lagi baad-e-KHizan kar le gulistanon ke sath
ho chale hain hum bhi kuchh manus viranon ke sath
hashr se kuchh kam na thi guzri jo ai rabb-e-jalil
tere insanon ke hathon tere insanon ke sath
aql jab ruk jae to lazim hai mahmez-e-junun
koi diwana bhi hota kash farzanon ke sath
zor par hai zohd ke parde mein jang-e-zar-gari
shoabada-bazi wahi hai sada imanon ke sath
pastiyon ke sae baDh kar choTiyon par chha gae
jhonpaDe Takra gae 'manzur' aiwanon ke sath
Ghazal
Dil-lagi baad-e-KHizan kar le gulistanon ke sath
Manzoor Ahmad Manzoor