dil lage hijr mein kyun kar mera
dil tera sa nahin patthar mera
yun to ruThe hain magar logon se
puchhte haal hain aksar mera
rah niklegi na kab tak koi
teri diwar hai aur sar mera
kahte hain aah ki dekhen tasir
na hua wasl mayassar mera
ye to kah kaun si tadbir na ki
na hua tu hi sitamgar mera
kya sunun ai dil-e-bad-zan teri
dost hai to wo muqarrar mera
lutf ranjish ke dikhata tum ko
kya kahun bas nahin dil par mera
unhen milna nahin mujh se manzur
kis ki taqsir muqaddar mera
puchhna kya hai chalen jaen aap
zor chalta nahin tum par mera
ghair ka haal hai kahna manzur
kahte hain zikr mila kar mera
rashk-e-dushman ka gila karta hun
hai qusur is mein sarasar mera
KHwahish-e-dil kahin bar aae 'nizam'
dil kai din se hai muztar mera
Ghazal
Dil lage hijr mein kyun kar mera
Nizam Rampuri