اردو हिंदी
Dil lagaya hai to nafrat bhi nahin kar sakte | Shaahi Shayari
dil lagaya hai to nafrat bhi nahin kar sakte

Ghazal

Dil lagaya hai to nafrat bhi nahin kar sakte

Abbas Dana

;

dil lagaya hai to nafrat bhi nahin kar sakte
ab tere shahr se hijrat bhi nahin kar sakte

aaKHri waqt mein jine ka sahaara hai yahi
teri yaadon se baghawat bhi nahin kar sakte

jhuT bole to jahan ne hamein fankari kaha
ab to sach kahne ki himmat bhi nahin kar sakte

is nae daur ne man-bap ka haq chhin liya
apne bachchon ko nasihat bhi nahin kar sakte

hum ujalon ke payambar to nahin hain lekin
kya charaghon ki hifazat bhi nahin kar sakte

qadr insan ki ghaT ghaT ke yahan tak pahunchi
ab to qimat mein riayat bhi nahin kar sakte

fan ki tazim mein mar jaoge bhuke 'dana'
tum to ghazlon ki tijarat bhi nahin kar sakte