dil lagane ki jagah aalam-e-ijad nahin
KHwab aankhon ne bahut dekhe magar yaad nahin
aaj asiron mein wo hangama-e-fariyaad nahin
shayad ab koi gulistan ka sabaq yaad nahin
sar-e-shorida salamat hai magar kya kahiye
dast-e-farhad nahin tesha-e-farhad nahin
tauba bhi bhul gae ishq mein wo mar paDi
aise ausan gae hain ki KHuda yaad nahin
dushman o dost se aabaad hain donon pahlu
dil salamat hai to ghar ishq ka barbaad nahin
fikr-e-imroz na andesha-e-farda ki KHalish
zindagi us ki jise maut ka din yaad nahin
nikhat-e-gul ki hai raftar hawa ki paband
ruh qalib se nikalne pe bhi aazad nahin
zinda hain murda-paraston mein abhi tak 'ghaalib'
magar ustad 'yagana' sa ab ustad nahin
Ghazal
Dil lagane ki jagah aalam-e-ijad nahin
Yagana Changezi