dil lagane ki bhul the pahle
ab jo patthar hain phul the pahle
muddaton baad wo hua qael
hum use kab qubul the pahle
us se mil kar hue hain kar-amad
chand tare fuzul the pahle
log girte nahin the nazron se
ishq ke kuchh usul the pahle
ann-data hain ab gulabon ke
jitne sukhe babul the pahle
aaj kanTe hain un ki shaKHon par
jin daraKHton pe phul the pahle
daur-e-hazir ki ye inayat hai
hum na itne malul the pahle
jhuThe ilzam man lete hain
hum bhi shayad rasul the pahle
jin ke namon pe aaj raste hain
wahi raston ki dhul the pahle
Ghazal
Dil lagane ki bhul the pahle
Suryabhanu Gupt