اردو हिंदी
Dil lagana chahiye chal kar kisi haiwan se | Shaahi Shayari
dil lagana chahiye chal kar kisi haiwan se

Ghazal

Dil lagana chahiye chal kar kisi haiwan se

Ateeq Muzaffarpuri

;

dil lagana chahiye chal kar kisi haiwan se
darjha behtar hain ye is daur ke insan se

barkaten jo uTh gai hain aaj dastar-KHwan se
mezban Darne lage hain aamad-e-mehman se

fasl boi jaegi sunte hain ab mirriKH par
duriyan yun baDh rahi hain khet se khaliyan se

kar liya hai sab ne jaez har amal is khel mein
garm rakkhenge siyasat jhuT se bohtan se

sard hogi ek din ye aatish-e-namrud bhi
barha guzre hain hum is karb ke tufan se

waqt ki raftar ne sab ka badal Dala mizaj
shaeri bhi ho rahi hai ab nae unwan se

mulk se rishta hamara hai kuchh aisa hi 'atiq'
jism ka jaise hua karta hai rishta jaan se