dil laga kar paDhai karte rahe
umr bhar imtihan se Darte rahe
ek adna sawab ki KHatir
jaane kitne gunah karte rahe
jaan par kaun dam nahin deta
surat aisi thi log marte rahe
koi bhi rah par nahin aaya
hadse hi yahan guzarte rahe
hairaten hairaton pe warafta
jhil mein Dubte ubharte rahe
aaKHirash hum bhi itna sukh gae
log dariya ko par karte rahe
kya na tha is jahan mein aaKHir
hum bhi kya hi talash karte rahe
aaKHir ezaz us ne baKHsh diya
kaisa KHud ko zalil karte rahe
Ghazal
Dil laga kar paDhai karte rahe
Zaheer Rahmati