dil kushta-e-nazar hai mahrum-e-guftugu hun
samjho mere ishaare main surma-dar-gulu hun
muddat se kho gaya hun sargarm-e-justuju hun
apna hi muddaa hun apni hi aarzu hun
surat-e-sawal hun main puchho na mera matlab
main apne muddaa ki taswir hu-ba-hu hun
hai dil mein josh-e-hasrat rukte nahin hain aansu
risti hui surahi TuTa hua subu hun
zaKHmon se dil ka aalam kya puchhte ho kya hai
gulzar-e-be-KHizan hun duniya-e-rang-o-bu hun
jalwe hijab-afgan aankhen halak-hasrat
to mahw-e-parda-dari mein waqf-e-justuju hun
pamal yun hua hun pinhan hai mujh mein aalam
ek musht-e-KHak ho kar sahra-e-arzu hun
ruKH se kafan haTa do kya puchhte hain puchhen
parde mein KHamushi ke sargarm-e-guftugu hun
kis se 'aziz' rakkhun ummid dosti ki
sarkash hai nafs jab tak apna hi main adu hun
Ghazal
Dil kushta-e-nazar hai mahrum-e-guftugu hun
Aziz Lakhnavi