dil kuchh der machalta hai phir yaadon mein yun kho jata hai
jaise koi ziddi bachcha rote rote so jata hai
sard hawa ya TuTa taw puri raat adhura chand
mere aangan ki miTTi ko jaane kaun bhigo jata hai
ek ek kar ke dhup ke sare surKH parinde mar jate hain
ret ke zard samundar par jab suraj panw dho jata hai
tujh se bichhaD kar raat ka ek ek lamha sadiyon mein kaTta hai
din ke hote hote ab to ek zamana ho jata hai
raat gae tanhai mujh se akasr puchhne aa jati hai
chup ki is basti ko shor-o-ghul mein kaun Dubo jata hai
Ghazal
Dil kuchh der machalta hai phir yaadon mein yun kho jata hai
Azhar Naqvi