اردو हिंदी
Dil koi phul nahin aur sitara bhi nahin | Shaahi Shayari
dil koi phul nahin aur sitara bhi nahin

Ghazal

Dil koi phul nahin aur sitara bhi nahin

Ahmad Ata

;

dil koi phul nahin aur sitara bhi nahin
kar-e-duniya ka nahin aur tumhaara bhi nahin

hum kisi samt chalen rah lagen kho jaen
rah-e-gum-gashta hain so aisa ishaara bhi nahin

hum ko to wasl ke qabil nahin jaana tum ne
hum chale jaen kahin tum ko gawara bhi nahin

na-rasai ne ajab taur sikhae hain 'ata'
yani bhule bhi nahin tum ko pukara bhi nahin