اردو हिंदी
Dil koi aaina nahin TuT ke rah gaya to phir | Shaahi Shayari
dil koi aaina nahin TuT ke rah gaya to phir

Ghazal

Dil koi aaina nahin TuT ke rah gaya to phir

Idris Babar

;

dil koi aaina nahin TuT ke rah gaya to phir
Thik hi kah rahe ho tum Thik na ho saka to phir

us ko bhulane lag gae is mein zamane lag gae
baad mein yaad aa gaya wo koi aur tha to phir

phul hai jo kitab mein asl hai ki KHwab hai
us ne is iztirab mein kuchh na paDha likha to phir

raste ajnabi se the peD the so kisi ke the
ye koi sochta to kyun aur koi sochta to phir

ab use KHwab jaan ke so raho lambi tan ke
yaad na aa saka to kya yaad bhi aa gaya to phir