اردو हिंदी
Dil ko ye iztirar kaisa hai | Shaahi Shayari
dil ko ye iztirar kaisa hai

Ghazal

Dil ko ye iztirar kaisa hai

Mushafi Ghulam Hamdani

;

dil ko ye iztirar kaisa hai
dekhiyo be-qarar kaisa hai

ek bosa bhi de nahin sakta
mujh ko pyare tu yar kaisa hai

kushta-e-tegh-e-naz kya jaane
KHanjar-e-abdar kaisa hai

har ghaDi galiyan hi dete ho
jaan meri ye pyar kaisa hai

mai nahin pi to kyun chhupate ho
ankhDiyon mein KHumar kaisa hai

aur to hain hi ye to kah bare
'mushafi' dost-dar kaisa hai