dil ko yaksui ne di tark-e-talluq ki salah
ai umid-e-wasl-e-jaanan kya hai ab teri salah
jab jafa-ju ne taghaful se bhi ki qat-e-nazar
ho raza-e-yar par shakir ye hai dil ki salah
hosh mein jalwa dikhane se agar hai us ko aar
hai wida-e-hosh ki har haal mein apni salah
naqd-e-jaan dildar karta hai talab main kya karun
bandagi bechaargi par ab to hai meri salah
manzil-e-ishq-o-fana karni hai tai sar-ta-ba-sar
shama ke manind jal bujhne ki hai meri salah
saf kahta hai ki tu neki kar aur dariya mein Dal
dil mera deta hai mujh ko aaj neki ki salah
be tamannai mein 'sahir' main hun har-dam mere sath
dur kar dil se tamanna hai ye jaanan ki salah
Ghazal
Dil ko yaksui ne di tark-e-talluq ki salah
Sahir dehlavi