dil ko shaista-e-ehsas-e-tamanna na karen
aap is andaz-e-nazar se mujhe dekha na karen
yak-ba-yak lutf o inayat ka irada na karen
aap yun apni jafaon ko tamasha na karen
un ko ye fikr hai ab tark-e-talluq kar ke
ki hum ab pursish-e-ahwal karen ya na karen
han mere haal pe hanste hain zamane wale
aap to waqif-e-haalat hain aisa na karen
un ki duz-dida-nigahi ka taqaza hai ki ab
hum kisi aur ko kya KHud ko bhi dekha na karen
wo talluq hai tere gham se ki allah allah
hum ko hasil ho KHushi bhi to gawara na karen
is mein poshida hai pindar-e-mohabbat ki shikast
aap mujh se bhi mere haal ko puchha na karen
na raha teri mohabbat se talluq na sahi
nisbat-e-gham se bhi kya KHud ko pukara na karen
main ki KHud apni wafaon pe KHajil hun 'aKHtar'
wo to lekin sitam o jaur se tauba na karen
Ghazal
Dil ko shaista-e-ehsas-e-tamanna na karen
Aleem Akhtar