اردو हिंदी
Dil ko rahin-e-band-e-qaba mat kiya karo | Shaahi Shayari
dil ko rahin-e-band-e-qaba mat kiya karo

Ghazal

Dil ko rahin-e-band-e-qaba mat kiya karo

Zafar Iqbal

;

dil ko rahin-e-band-e-qaba mat kiya karo
hai la-ilaj is ki dawa mat kiya karo

waise to iKHtiyar hai sara tumhein magar
jo narawa hai us ko rawa mat kiya karo

taufiq to hui nahin KHairaat ki kabhi
kahte hain is gali mein sada mat kiya karo

jo mil gae hain un ki tawazo ko chhoD kar
jo kho gae hain un ka pata mat kiya karo

is ka moamla hai juda waza hi kuchh aur
dil mein hisab-e-tangi-e-ja mat kiya karo

kuchh aur log hain yahan is kaam ke liye
wajib hai jo bhi qarz ada mat kiya karo

jaisa bhi hai wo yar hai apna khula-Dala
kuchh is liye bhi KHauf-e-KHuda mat kiya karo

sach hai ki hum se baat bhi karna namaz hai
gar ho sake to is ko qaza mat kiya karo

tum se to hai 'zafar' ka bas itna mutalba
KHud se ise ziyaada juda mat kiya karo