dil ko rah rah ke ye andeshe Darane lag jaen
wapsi mein use mumkin hai zamane lag jaen
so nahin paen to sone ki duaen mangen
nind aane lage to KHud ko jagane lag jaen
us ko DhunDen use ek baat batane ke liye
jab wo mil jae to wo baat chhupane lag jaen
har december isi wahshat mein guzara ki kahin
phir se aankhon mein tere KHwab na aane lag jaen
itni taKHir se mat mil ki hamein sabr aa jae
aur phir hum bhi nazar tujh se churane lag jaen
jit jaengi hawaen ye KHabar hote hue
tez aandhi mein charaghon ko jalane lag jaen
tum mere shahr mein aae to mujhe aisa laga
jun tahi-damanon ke hath KHazane lag jaen
Ghazal
Dil ko rah rah ke ye andeshe Darane lag jaen
Rehana Roohi