dil ko rah-e-hayat mein uljha raha hun main
kaise bhi apne-ap ko bahla raha hun main
rakh kar ke thoDi dur kinare pe ye badan
dariya ke sath sath baha ja raha hun main
khiDki pe ek bar to aa ja ki dekh lun
jaana tumhaare shahr se ab ja raha hun main
matlab yahi hua ki mera bhi wajud hai
us aaina mein saf nazar aa raha hun main
area paDa hua hun main gard-e-zamin par
miTTi mein tere lams ko dafna raha hun main
chaha tha tujh ko panw mein qismat se jit kar
qismat se mil gae ho so Thukra raha hun main
Ghazal
Dil ko rah-e-hayat mein uljha raha hun main
Kuldeep Kumar