dil ko phir ummid garmane lagi
phir mujhe duniya nazar aane lagi
dil pe Dali hai kisi ne phir nigah
sans phir aane lagi jaane lagi
naqsh phir jamne laga tadbir ka
aql phir kuchh dil ko samjhane lagi
naza mein aane lagi phir kis ki yaad
aarzu-e-zist taDpane lagi
ho chala hai phir kisi ka intizar
khinch ke jaan aankhon mein phir aane lagi
ranj bhi aaKHir ko rahat ban gaya
shab hujum-e-gham se nind aane lagi
phir wahi betabi-e-dil hai 'jigar'
phir kisi ki yaad taDpane lagi
Ghazal
Dil ko phir ummid garmane lagi
Jigar Barelvi