dil ko paiham dard se do-chaar rahne dijiye
kuchh to qaem ishq ka mear rahne dijiye
dil ki duniya gham sarapa gham ki duniya kya kahun
kaenat-e-dil ko gham-asar rahne dijiye
kis taraf jae gharib adbar ka mara hua
is musafir ko pas-e-diwar rahne dijiye
aa rahi hai saz-e-dil ke tar mein larzish abhi
apni nazron ko sharik-e-kar rahne dijiye
sari duniya ho chuki be-gana-e-hosh-o-KHirad
kam-se-kam 'sadiq' ko to hoshyar rahne dijiye
Ghazal
Dil ko paiham dard se do-chaar rahne dijiye
Sadique Indori