dil ko nasib soz-e-gham-e-gulsitan kahan
hota to aaj hota ye dard-e-nihan kahan
zauq-e-bahaar hi hai na KHauf-e-KHizan mujhe
gum-sum hai apne haal mein tab-e-rawan kahan
jis se gulon ke zabt ka daman ho tar tar
hai andalib tera wo zauq-e-fughan kahan
ho jae ab na KHatm fasana firaq ka
hain nur-e-subh raat ki nairangiyan kahan
le jaegi saba mera paigham tu magar
hoga subuk hawa se mizaj-e-garan kahan
le aae toD toD ke tare falak se hum
lekin nasib quwwat-e-husn-e-bayan kahan
'shadan' na DhunDh arsa-e-ghurbat mein aasare
is mein chaman ki arzish-e-arz-o-saman kahan
Ghazal
Dil ko nasib soz-e-gham-e-gulsitan kahan
Shanti Lal Malhotra